Romantic love poem in Hindi
January 28, 2015
Romantic love poem in Hindi, hindi Love Poems
Tere seene se lagkar, teri aarzoo ban jau,
Teri sanso se milkar, teri khushbu bn jau,
Teri sanso se milkar, teri khushbu bn jau,
Faasle na rahe koi hum dono ke darmiya,
Main, main na rahu, bas tu hi tu ban jau,
Main, main na rahu, bas tu hi tu ban jau,
Suni raato ki tanhaiyaan jab satayegi tujhe,
Teri un khamoshiyo ki main guftgu bn jau,
Teri un khamoshiyo ki main guftgu bn jau,
Jaise dilbar ki ho tujh ko tamanna jaana,
Rab kare, main waisi hu-ba-hu ban jaun,
Rab kare, main waisi hu-ba-hu ban jaun,
Gustakhi dil ki mere bs itni si hai khawaish,
Teri dhadkano ki main hi justuju ban jaun.
Teri dhadkano ki main hi justuju ban jaun.